Shahr Gum-sum Raste Sunsan Ghar KHamosh Hain
shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain
kya bala utri hai kyun diwar-o-dar KHamosh hain
wo khulen to hum se raaz-e-dasht-e-wahshat kuchh khule
lauT kar kuchh log aae hain magar KHamosh hain
ho gaya gharqab suraj aur phir ab us ke baad
sahilon par ret uDti hai bhanwar KHamosh hain
manzilon ke KHwab de kar hum yahan lae gae
ab yahan tak aa gae to rahbar KHamosh hain
dukh safar ka hai ki apnon se bichhaD jaane ka gham
kya sabab hai waqt-e-ruKHsat ham-safar KHamosh hain
kal shajar ki guftugu sunte the aur hairat mein the
ab parinde bolte hain aur shajar KHamosh hain
jab se 'azhar' KHal-o-KHad ki baat logon mein chali
aaine chup-chap hain aaina-gar KHamosh hain
(2131) Peoples Rate This