Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar
rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar
wo jo rahta tha mere sath meri jaan ho kar
jaane kis shoKH ke aanchal ne shararat ki hai
chand phirta hai sitaron mein pareshan ho kar
aate-jate hue dastak ka takalluf kaisa
apne ghar mein bhi koi aata hai mehman ho kar
ab to mujh ko bhi nahin milti meri koi KHabar
kitna gumnam hua hun main numayan ho kar
wo mere sahn mein utre hain ujale kahiye
sham takti hai dar-o-baam ko hairan ho kar
main ne us shaKHs se sikha hai takallum ka hunar
wo jo mahfil mein bhi rahta tha gurezan ho kar
ujDi ujDi si hawa KHak-ba-sar aati hai
sham utri hai kahin sham-e-ghariban ho kar
ek hangama sa yaadon ka hai dil mein 'azhar'
kitna aabaad hua shahr ye viran ho kar
(763) Peoples Rate This