Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak
girdab-e-reg-e-jaan se mauj-e-sarab tak
zinda hai to lahu mein bas ek iztirab tak
ek main ki ek gham ka taqaza na kar saka
ek wo ki us ne mang liye apne KHwab tak
tu lafz lafz lazzat-e-hijran mein hai abhi
hum aa gae hain hijrat-e-gham ke nisab tak
jo zer-e-ab-e-mauj-e-rawan hai KHuruj-e-ab
aa jae ek roz agar sath-e-ab tak
milta kahin sawad-e-warud-o-shahud mein
hota meri hudud ka koi hisab tak
tera hi raqs silsila-e-aks-e-KHwab hai
is ashk-e-nim-shab se shab-e-mahtab tak
aasar-e-ahd-e-gham hain tah-e-reg-e-jaan ki tu
pahuncha nahin abhi dil-e-KHana-KHarab tak
(764) Peoples Rate This