Main Mahal Ret Ke Sahra Mein Banane BaiTha

main mahal ret ke sahra mein banane baiTha

chand alfaz ko mazi ke bhulane baiTha

hadse se hi hua gham ka mudawa mere

falsafa sabr ka logon ko paDhane baiTha

thak ke sae mein babulon ke sukun jab chaha

us ka har patta mujhe kanTe lagane baiTha

jis ne toDa sabhi naton sabhi rishton ko mere

umr bhar ka wahi ab qarz chukane baiTha

us ke talKHab se kab pyas meri bujh pai

ghar samundar ke kinare hi basane baiTha

jism ke baKHiye jo udhDe to udhaDte hi rahe

jama resham ka pahne ko silane baiTha

log the gird alaw ke magar main 'nayyar'

jism ki aag ko pani se bujhane baiTha

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Mahal Ret Ke Sahra Mein Banane BaiTha In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Main Mahal Ret Ke Sahra Mein Banane BaiTha is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Main Mahal Ret Ke Sahra Mein Banane BaiTha for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Main Mahal Ret Ke Sahra Mein Banane BaiTha in PDF.