Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho BaiTha

main apne shahr mein apna hi chehra kho baiTha

ye waqia jo sunaya to wo bhi ro baiTha

tumhaari aas mein aankhon ko main bhigo baiTha

ki dil mein yas ke kanTe kai chubho baiTha

mata-e-haal na mazi ka koi sarmaya

nadi mein waqt ki har chiz ko Dubo baiTha

sunahre waqt ki tahriren jin mein thin mahfuz

main un sahifon ko ashkon se apne dho baiTha

main sunta rahta tha jis aaine ki sargoshi

wo shahr-e-sang mein apni jila bhi kho baiTha

kisi babul ke sae tale mili jo aman

to apne panw mein kanTe bhi main chubho baiTha

wahi raha hai bahar-taur shadman 'nayyar'

jo apne gham mein gham-e-digaran samo baiTha

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho BaiTha In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho BaiTha is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho BaiTha for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho BaiTha in PDF.