Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath
ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath
shor karta hun siyah raat mein zanjir ke sath
surKH phulon ki ghani chhanw mein chupke chupke
mujh se milta tha koi ek nai tanwir ke sath
ek teri yaad ki har sans ke nazdik rahi
ek tera dard ki chaspan raha taqdir ke sath
kabhi zaKHmon ka bhi KHanda-e-gul ka mausam
hum pe khulta raha ek dard ki tafsir ke sath
baat aapas ki hai aapas hi mein rahne dije
warna hum surKHiyan ban jaenge tashhir ke sath
aap ki mez pe phir ek naya manzar hai
meri taswir bhi hai aap ki taswir ke sath
dil ke nazdik sar-e-sham-e-alam ai 'nayyar'
zaKHm ke chand chamak uThte hain tanwir ke sath
(818) Peoples Rate This