Hare DaraKHt Ka ShaKHon Se Rishta TuT Gaya
hare daraKHt ka shaKHon se rishta TuT gaya
hua chali to gulabon se rishta TuT gaya
kahan hain ab wo mahakte hue hasin manzar
khuli jo aankh to KHwabon se rishta TuT gaya
zara si der mein bimar-e-gham hua ruKHsat
palak jhapakte hi logon se rishta TuT gaya
gulab titli dhanak raushni karan jugnu
har ek shai ka nigahon se rishta TuT gaya
uThi jo sahn mein diwar iKHtilaf baDhe
zamin ke waste apnon se rishta TuT gaya
kitab-e-zist ka har safha sada hai 'nayyar'
qalam ki nok ka lafzon se rishta TuT gaya
(962) Peoples Rate This