Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5b048a7ae663e28f91539c4acc2e778, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se - Azhar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se

ye bar-e-gham bhi uThaya nahin bahut din se

ki us ne hum ko rulaya nahin bahut din se

chalo ki KHak uDaen chalo sharab piyen

kisi ka hijr manaya nahin bahut din se

ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar

ki hum ne KHud ko bhi paya nahin bahut din se

har ek shaKHs yahan mahw-e-KHwab lagta hai

kisi ne hum ko jagaya nahin bahut din se

ye KHauf hai ki ragon mein lahu na jam jae

tumhein gale se lagaya nahin bahut din se

(3818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se In English By Famous Poet Azhar Iqbal. Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se is written by Azhar Iqbal. Read famous Poem Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se for youth and Student by Azhar Iqbal. Free Download Ye Bar-e-gham Bhi UThaya Nahin Bahut Din Se in PDF.