Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya
wo mahtab abhi baam par nahin aaya
meri duaon mein shayad asar nahin aaya
bahut ajib hai yaron bulandiyon ka tilism
jo ek bar gaya lauT kar nahin aaya
ye kaenat ki wusat khuli nahin mujh par
main apni zat se jab tak guzar nahin aaya
bahut dinon se hai be-shakl si meri miTTi
bahut dinon se koi kuza-gar nahin aaya
bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha
phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya
hum ab bhi dasht mein KHema lagae baiThe hain
hamare hisse mein apna hi ghar nahin aaya
zamin banjh na ho jae kuchh kaho 'azhar'
suKHan ki shaKH pe kab se samar nahin aaya
(2426) Peoples Rate This