Ye Kya Ki Rang Hathon Se Apne ChhuDaen Hum
ye kya ki rang hathon se apne chhuDaen hum
ilzam titliyon ke paron par lagaen hum
hoti hain roz roz kahan aisi barishen
aao ki sar se panw talak bhig jaen hum
ukta gaya hai sath ke in qahqahon se dil
kuchh roz ko bichhaD ke ab aansu bahaen hum
kab tak fuzul logon par hum tajrabe karen
kaghaz ke ye jahaz kahan tak uDain hum
kirdar-saziyon mein bahut kaam aaenge
bachchon ko waqiat baDon ke sunaen hum
is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log
mahfuz kar rahe hain faza mein sadaen hum
'azhar' samaaten hain latifon ki muntazir
mahfil mein apne sher kise ab sunaen hum
(1487) Peoples Rate This