Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69250a5560d18c9804b756a862c3c39a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue

wo taza-dam hain nae shoabde dikhate hue

awam thakne lage taliyan bajate hue

sambhal ke chalne ka sara ghurur TuT gaya

ek aisi baat kahi us ne laDkhaDate hue

ubhaarti hui jazbaat ko ye taswiren

ye inqalab hamare gharon mein aate hue

isi liye ki kahin un ka qad na ghaT jae

salam ko bhi wo Darte hain hath uThate hue

is aadmi ne bahut qahqahe lagae hain

ye aadmi jo larazta hai muskuraate hue

jawan ho gai ek nasl sunte sunte ghazal

hum aur ho gae buDhe ghazal sunate hue

hua ujala to hum un ke nam bhul gae

jo bujh gae hain charaghon ki lau baDhate hue

yahi usul hai islah-e-haal ka 'azhar'

ki pur-KHulus hon hum KHamiyan ginate hue

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue In English By Famous Poet Azhar Inayati. Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Wo Taza-dam Hain Nae Shoabde Dikhate Hue in PDF.