Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha
wo mujh se mera taaruf karane aaya tha
abhi guzar jo gaya ek azim lamha tha
suna hai main ne yahan surKH ghas aa gai thi
wo baadshah yahin apni jang haara tha
hamari raat se behtar thi agle waqt ki raat
har ek ghar mein diya subh tak to jalta tha
aziz mujh ko bhi the naqsh apne mazi ke
use bhi shauq purani imaraton ka tha
ab apne sar ka tahaffuz bhi aap KHud kije
faza mein aap ne patthar bhi KHud uchhaala tha
gaya to apni udasi bhi de gaya mujh ko
tamam din jo mere sath hansta rahta tha
ab us se ek baDa nam juD gaya 'azhar'
jo shah-kar meri fikr ne banaya tha
(816) Peoples Rate This