Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bab06e76c1bf368cf7b40300a7c5ac31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya

wo mera yar tha mujh ko na ye KHayal aaya

main apne zehan ka sab bojh us pe Dal aaya

ab us ke pas koi sang phenkne ko nahin

faza mein aaKHiri patthar bhi wo uchhaal aaya

tamam bhiD mein ek main hi pur-sukun tha bahut

tamam bhiD ko mujh par hi ishtial aaya

ajab junun hai ye intiqam ka jazba

shikast kha ke wo pani mein zahr Dal aaya

kal apne-ap se jab laDte laDte haar gaya

to ek shaKHs ka phir der tak KHayal aaya

wo be-sabab hi KHafa tha magar main aaj 'azhar'

gale mein us ke bhi banhon ka haar Dal aaya

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya In English By Famous Poet Azhar Inayati. Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya in PDF.