Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai
tamam shaKHsiyat us ki hasin nazar aai
jab us ke qatl ki aKHbar mein KHabar aai
sharif log chaDhe jab nahin hain koThon par
to kis ke sath ye tahzib baam par aai
guzar ke mujh ko KHad-o-KHal ke sarabon se
tamam shahr mein be-chehragi nazar aai
KHamosh kya hui buDhiya safed baalon ki
kahaniyon ki koi raat phir na ghar aai
ajib shaKHs tha kuchh der guftugu jo hui
dil o dimagh mein ek raushni utar aai
duaen mang rahe the hawa ki log magar
hawa chali bhi to aankhon mein dhul bhar aai
gulab TuT ke bikhra tha kal jahan 'azhar'
usi maqam pe KHushbu mujhe nazar aai
(905) Peoples Rate This