Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga
qayamat aaegi mana ye hadisa hoga
magar chhupa hua manzar to runuma hoga
musahibon mein ghire honge zill-e-subhani
ghanim shahr ko taraj kar raha hoga
abhi faza mein thi ek tez raushni ki lakir
na jaane TuT ke tara kahan gira hoga
aziz mujh se tha inam mere sar ka use
rais ek hi shab mein wo ho gaya hoga
hui jo baat to wo aam aadmi nikla
guman tha ki nae ruKH se sochta hoga
rahega samne kab tak ye nilgun manzar
ye aasman kahin KHatm to hua hoga
ajab safar hai mujhe bhi pata nahin 'azhar'
ki agle moD pe kirdar mera kya hoga
(826) Peoples Rate This