Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c5e949d8917b54c3b020807eb05bd24d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai

nazar ki zad mein sar koi nahin hai

fasil-e-shahr par koi nahin hai

bahut muKHlis hain us ke ganw wale

paDha-likkha magar koi nahin hai

KHabar ek ghar ke jalne ki hai lekin

bacha basti mein ghar koi nahin hai

kahin jaen kisi bhi waqt aaen

baDon ka dil mein Dar koi nahin hai

mujhe KHud TuT kar wo chahta hai

mera is mein hunar koi nahin hai

hum apne sath jaen bhi kahan tak

hamara ham-safar koi nahin hai

abhi aandhi pe 'azhar' tabsire hain

charaghon ki KHabar koi nahin hai

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai In English By Famous Poet Azhar Inayati. Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Nazar Ki Zad Mein Sar Koi Nahin Hai in PDF.