Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d54418c31dbd5f2fe6996693c75a1698, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko

mayassar ho jo lamha dekhne ko

kitabon mein hai kya kya dekhne ko

hazaron qadd-e-adam aaine hain

magar tarsoge chehra dekhne ko

abhi hain kuchh purani yaadgaren

tum aana shahr mera dekhne ko

phir us ke baad tha KHamosh pani

ki log aae the dariya dekhne ko

hawa se hi khulta tha aksar

mujhe bhi ek daricha dekhne ko

qayamat ka hai sannaTa faza mein

nahin koi parinda dekhne ko

abhi kuchh phul hain shaKHon pe 'azhar'

mujhe kanTon mein uljha dekhne ko

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko In English By Famous Poet Azhar Inayati. Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Mayassar Ho Jo Lamha Dekhne Ko in PDF.