Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a02e6b3c0745eee70a4b4e7ad13a1c03, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log

kuchh aarzi ujale bachae hue hain log

muTThi mein jugnuon ko chhupae hue hain log

us shaKHs ko to qatl hue der ho gai

ab kis liye ye bhiD lagae hue hain log

barson purane dard na aTkheliyan karen

ab to nae ghamon ke satae hue hain log

aankhen ujaD chuki hain magar rang rang ke

KHwabon ki ab bhi fasl lagae hue hain log

kya rah gaya hai shahr mein khanDaraat ke siwa

kya dekhne ko ab yahan aae hue hain log

kuchh din se be-dimaghi-e-'azhar' hai rang par

basti mein us ko 'mir' banae hue hain log

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log In English By Famous Poet Azhar Inayati. Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Kuchh Aarzi Ujale Bachae Hue Hain Log in PDF.