Kitaben Jab Koi PaDhta Nahin Tha
kitaben jab koi paDhta nahin tha
faza mein shor bhi itna nahin tha
ajab sanjidgi thi shahr bhar mein
ki pagal bhi koi hansta nahin tha
baDi masum si apnaiyat thi
wo mujh se roz jab milta nahin tha
jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha
purane ahd mein bhi dushmani thi
magar mahaul zahrila nahin tha
sabhi kuchh tha ghazal mein us ki 'azhar'
bas ek lahja mere jaisa nahin tha
(815) Peoples Rate This