Jab Tak Safed Aandhi Ke Jhonke Chale Na The
jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
itne ghane daraKHton se patte gire na the
izhaar par to pahle bhi pabandiyan na thin
lekin baDon ke samne hum bolte na the
un ke bhi apne KHwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala kaTte na the
pahle bhi log milte the lekin talluqat
angDai ki tarah to kabhi TuTte na the
pakke gharon ne nind bhi aankhon ki chhin li
kachche gharon mein raat ko hum jagte na the
rahte the dastanon ke mahaul mein magar
kya log the ki jhuT kabhi bolte na the
'azhar' wo maktabon ke paDhe mo'atabar the log
baisakhiyon pe sirf sanad ki khaDe na the
(890) Peoples Rate This