Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_de8d1e193b55a8d329aaecf6cfcebc8e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega

is raste mein jab koi saya na paega

ye aaKHiri daraKHt bahut yaad aaega

bichhDe huon ki yaad to aaegi jite-ji

mausam rafaqaton ka palaT kar na aaega

taKHliq aur shikast ka dekhenge log fan

dariya habab sath pe jab tak banega

har har qadam pe aaina-bardar hai nazar

be-chehragi ko koi kahan tak chhupaega

meri sada ka qad hai faza se bhi kuchh buland

zalim fasil-e-shahr kahan tak uThaega

tarif kar raha hai abhi tak jo aadmi

uTTha to mere aib hazaron ginaega

(1064) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega In English By Famous Poet Azhar Inayati. Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Is Raste Mein Jab Koi Saya Na Paega in PDF.