Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14cd39b601470fb148d1af331e257510, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai

apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai

aa thoDi der baiTh ke baaten karen yahan

tere to yar lahje mein apna sa dard hai

kya ho gain na jaane teri garm-joshiyan

mausam se aaj hath siwa tera sard hai

tariKH bhi hun utne baras ki moarriKHo

chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai

ai raat tere chand sitaron mein wo kahan

bujhte hue charagh ki lau mein jo dard hai

'azhar' jo qatl ho gaya wo bhai tha magar

qatil bhi mere apne qabile ka fard hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai In English By Famous Poet Azhar Inayati. Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai in PDF.