Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun
ghar ka rasta jo bhul jata hun
kya bataun kahan se aata hun
zehn mein KHwab ke mahal ki tarah
KHud hi banta hun TuT jata hun
aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun
main to ai shahr ke hasin rasto
ghar se hi qatl ho ke aata hun
roz aati hai ek shaKHs ki yaad
roz ek phul toD lata hun
hae gahraiyan un aankhon ki
baat karta hun Dub jata hun
(829) Peoples Rate This