Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99eedc1db07a80cdddfb52f7f8e1b545, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki

fikr mein hain hamein bujhane ki

aandhiyan 'mir' ke zamane ki

mera ghar hai purane waqton ka

us ki aankhen nae zamane ki

ab koi baat bhulta hi nahin

hae wo umr bhul jaane ki

apne andar ka shor kam to hua

KHamushi mein kitab-KHane ki

ek manzar tha yaad rakhne ka

ek taswir thi banane ki

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki In English By Famous Poet Azhar Inayati. Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Fikr Mein Hain Hamein Bujhane Ki in PDF.