Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49a8499705b4169ec34dbf1068b98e63, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega - Azhar Inayati Poetry In English - Darsaal

Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega

abhi bichhDa hai wo kuchh roz to yaad aaega

naqsh raushan hai magar naqsh hai dhundlaega

ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham sa charagh

main nahin hunga to tanhai mein bujh jaega

ab mere baad koi sar bhi nahin hoga tulua

ab kisi samt se patthar bhi nahin aaega

meri qismat to yahi hai ki bhaTakna hai mujhe

raste tu mere hamrah kidhar jaega

apne zehnon mein racha lijiye is daur ka rang

koi taswir banegi to ye kaam aaega

itne din ho gae bichhDe hue us se 'azhar'

mil bhi jaega to pahchan nahin paega

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega In English By Famous Poet Azhar Inayati. Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Abhi BichhDa Hai Wo Kuchh Roz To Yaad Aaega in PDF.