Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai
ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai
jise fazilat-e-tanhai ne ubhaara hai
kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka
lahuluhan magar shahr ka nazara hai
main ja raha hun mukammal wajud pane ko
mujhe bhi surat-e-imkan ne ab pukara hai
wo hans ke har shab-e-zulmat kaT dete hain
wo jin ke sine mein aflak ka sipara hai
charagh jalta rahega hamesha ulfat ka
yahi wajud ke anwar ka ishaara hai
ye kaisi surat-e-mahtab khul rahi hai magar
zamin pe kis ne ise arsh se utara hai
ana-shikar pe zahir ye kab hua 'azhar'
use nibhane mein taqdir ka KHasara hai
(973) Peoples Rate This