Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun
shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun
maqtal zist ko aaKHir main kahan tak dekhun
phir ye manunga KHamoshi pe zawal aaya hai
dil dhaDakne ki sada jab main zaban tak dekhun
ye tamanna hai KHuda aalam-e-hasti mein tere
main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun
jab ki ab rabta rakhne ka bahut hai imkan
phir bhi viraniyan phailin hain jahan tak dekhun
kya tasawwur meri aankhon ne nawaza hai mujhe
KHud ko dekhun to main ehsas-e-ziyan tak dekhun
manta hun ki hai zulmat-e-azal us ka nasib
raat ki zid hai use apni fughan tak dekhun
ye bhi aslaf ki tahzib hai 'azhar' main yahan
apna kirdar tamam amn-e-aman tak dekhun
(869) Peoples Rate This