KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai
KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai
lagta hai ki pairon se zanjir nikalti hai
TuTa hua badhna tha shayad ki wuzu ka ho
aisi bhi to purkhon ki jagir nikalti hai
jo dagh hai sajde ka peshani-e-momin par
us dagh se ho kar hi taqdir nikalti hai
milti hai KHushi sab ko jaise hi kahin se bhi
bhuli hui bachpan ki taswir nikalti hai
majruh qalam ko jab har lafz dua de den
ta umr qalam se phir tahrir nikalti hai
ho amn yahan hum mein socha tha magar 'azhar'
dekha to har ek ghar se shamshir nikalti hai
(1299) Peoples Rate This