Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai
hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai
KHuda ka zikr jab apni zaban se guzra hai
lakir khinch ke nur-e-guman se guzra hai
mujhe yaqin hai koi aasman se guzra hai
chamakta rahta hai donon jahan ki manzil par
wo ek shaKHs jo har imtihan se guzra hai
bas itna bol rahi chaaragar ki KHamoshi
bala ka dard dil-e-na-tawan se guzra hai
to kya hua jo ab aankhon mein qaid hai sahra
tere firaq mein dariya yahan se guzra hai
usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan
bahaar aane se pahle KHizan se guzra hai
KHamosh lahje mein 'azhar' ko hashmi ne kaha
tera wajud bhi ek KHandan se guzra hai
(1021) Peoples Rate This