Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka
tere baad koi bhi gham asar nahin kar saka
koi saneha meri aankh tar nahin kar saka
mujhe ilm tha mujhe kam paDegi ye raushni
so main inhisar charagh par nahin kar saka
mujhe jhuT ke wo jawaz pesh kiye gae
kisi baat par main agar-magar nahin kar saka
mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main
koi ek mohra idhar-udhar nahin kar saka
kai paikaron ko mere KHayal ne shakl di
jinhen runuma mera kuza-gar nahin kar saka
mere aas-pas ki muflisi meri mazarat
tera intizam main apne ghar nahin kar saka
(1479) Peoples Rate This