Raat Ki Aaghosh Se Manus Itne Ho Gae

raat ki aaghosh se manus itne ho gae

raushni mein aae to hum log andhe ho gae

aanganon mein dafn ho kar rah gai hain KHwahishen

hath pile hote hote rang pile ho gae

bhiD mein gum ho gae hum apni ungli chhoD kar

munfarid hone ki dhun mein auron jaise ho gae

zinda rahne ke liye kuchh be-hisi darkar thi

sochte rahne se bhi kuchh zaKHm gahre ho gae

is liye mohtat hun apni numudari se main

phal to phal mujh peD ke patte bhi miThe ho gae

(1205) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Raat Ki Aaghosh Se Manus Itne Ho Gae In English By Famous Poet Azhar Faragh. Raat Ki Aaghosh Se Manus Itne Ho Gae is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Raat Ki Aaghosh Se Manus Itne Ho Gae for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Raat Ki Aaghosh Se Manus Itne Ho Gae in PDF.