Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b569dccedc222db01854438fdbb81d85, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai - Azhar Faragh Poetry In English - Darsaal

Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai

koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai

ek rifaqat mein kahan umr guzar sakti hai

tujh se kuchh aur talluq bhi zaruri hai mera

ye mohabbat to kisi waqt bhi mar sakti hai

meri KHwahish hai ki phulon se tujhe fath karun

warna ye kaam to talwar bhi kar sakti hai

ho agar mauj mein hum jaisa koi andha faqir

ek sikke se bhi taqdir sanwar sakti hai

subh-dam surKH ujala hai khule pani mein

chand ki lash kahin se bhi ubhar sakti hai

(2593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai In English By Famous Poet Azhar Faragh. Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Koi Bhi Shakl Mere Dil Mein Utar Sakti Hai in PDF.