Hansne-hansane PaDhne-paDhane Ki Umr Hai

hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

ye umr kab hamare kamane ki umr hai

le aai chhat pe kyun mujhe be-waqt ki ghuTan

teri to KHair baam pe aane ki umr hai

tujh se bichhaD ke bhi tujhe milta rahunga main

mujh se tawil mere zamane ki umr hai

aulad ki tarah hai mohabbat ka mujh pe haq

jab tak kisi ka bojh uThane ki umr hai

ghurbat ko kyun na main bhi shararat ka nam dun

diwar-o-dar pe phul banane ki umr hai

koi muzaiqa nahin piri ke ishq mein

waise bhi ye sawab kamane ki umr hai

(1185) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansne-hansane PaDhne-paDhane Ki Umr Hai In English By Famous Poet Azhar Faragh. Hansne-hansane PaDhne-paDhane Ki Umr Hai is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Hansne-hansane PaDhne-paDhane Ki Umr Hai for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Hansne-hansane PaDhne-paDhane Ki Umr Hai in PDF.