Dosh Dete Rahe Be-kar Hi Tughyani Ko
dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko
hum ne samjha nahin dariya ki pareshani ko
ye nahin dekhte kitni hai riyazat kis ki
log aasan samajh lete hain aasani ko
be-ghari ka mujhe ehsas dilane wale
tu ne barta hai meri be-sar-o-samani ko
sharmsari hai ki rukne mein nahin aati hai
KHushk karta rahe kab tak koi peshani ko
jaise rangon ki baKHili bhi hunar ho 'azhar'
ghaur se dekhiye taswir ki uryani ko
(1306) Peoples Rate This