Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ffa2b66fd62004466e564aee2d6ff408, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha - Azhar Faragh Poetry In English - Darsaal

Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha

diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha

tale ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha

kabhi kabhi aati thi pahle wasl ki lazzat andar tak

barish tirchhi paDti thi to kamra gila hota tha

shukr karo tum is basti mein bhi school khula warna

mar jaane ke baad kisi ka sapna pura hota tha

jab tak matha chum ke ruKHsat karne wali zinda thi

darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha

bhale zamane the jab sher suhulat se ho jate the

nae suKHan ke nam pe 'azhar' 'mir' ka charba hota tha

(2499) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha In English By Famous Poet Azhar Faragh. Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Diwaren ChhoTi Hoti Thin Lekin Parda Hota Tha in PDF.