Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6bc18d4909fe39be0f34996b338f55f5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain - Azhar Faragh Poetry In English - Darsaal

Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain

dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain

baDe logon ke KHasare bhi baDe hote hain

ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain

hum jo sahraon ki miTTi ke ghaDe hote hain

aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain

hum agar KHwab mein bhi tum se laDe hote hain

ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log

subh hote hi kinare pe paDe hote hain

hijr diwar ka aazar to hai hi lekin

is ke upar bhi kai kanch jaDe hote hain

(1541) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain In English By Famous Poet Azhar Faragh. Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Dhup Mein Saya Bane Tanha KhaDe Hote Hain in PDF.