Dare Hue Hain Sabhi Log Abr Chhane Se
Dare hue hain sabhi log abr chhane se
wo aai baam pe kya dhup ke bahane se
wo qissa-go to bahut jald-baz aadmi tha
bahut si lakDiyan hum rah gae jalane se
nazar to Dal rawani ki istaqamat par
ye aabshaar hai kohsar ke gharane se
mosafiran-e-mohabbat mujhe muaf karen
main baz aaya unhen rasta dikhane se
agar main aaKHiri bazi na khelta 'azhar'
to KHali hath na aata qimar-KHane se
(926) Peoples Rate This