Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai
bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai
zarur koi hawaon ke kan khinchta hai
kisi badan ki sayahat niDhaal karti hai
kisi ke hath ka takiya thakan khinchta hai
nashist ke to talabgar hi nahin hum log
hamare panw se kyun paedan khinchta hai
badal ke dekh chuki hai reaya sahib-e-taKHt
jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai
dikha raha hai KHaridar ban ke aaj mujhe
jise lapeT ke rakhkhun wo than khinchta hai
charaghon mein wo charagh is liye numayan hai
hum aise dekhne walon ka dhyan khinchta hai
ye sara jhagDa tere inhimak ka hi to hai
sameTta hai koi dastan khinchta hai
(905) Peoples Rate This