Sab Baaten La-hasil Thahrin Sare Zikr Fuzul Gae
sab baaten la-hasil Thahrin sare zikr fuzul gae
yaad raha ek nam tumhaara baqi sab kuchh bhul gae
main ne tera nam miTa kar tera chehra kya bhula
bich samundar kashti TuTi hathon se mastul gae
tere sath tere raste mein hanste-bolte sathi the
mere sath mere raste mein kanTe aur babul gae
sham parinde lauT aae to hum teri khoj mein chal nikle
phir jangal mein raat hui aur ghar ka rasta bhul gae
bahs-bhari mulaqat ke baad wo aaKHir basti chhoD gaya
sab tawilen KHak huin mere sare lafz fuzul gae
hawa ko kya malum ho 'azhar' hawa ke ek hi jhonke se
kitni shaKHen TuT gain aur kitne patte jhul gae
(987) Peoples Rate This