Raushni Hasb-e-zarurat Bhi Nahin Mangte Hum

raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum

raat se itni suhulat bhi nahin mangte hum

dushman-e-shahr ko aage nahin baDhne dete

aur koi tamgha-e-jurat bhi nahin mangte hum

sang ko shisha banane ka hunar jaante hain

aur is kaam ki ujrat bhi nahin mangte hum

kisi diwar ke sae mein Thahar lene de

dhup se itni riayat bhi nahin mangte hum

sari dastaron pe dhabbe hain lahu ke 'azhar'

aise kufe mein to izzat bhi nahin mangte hum

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Hasb-e-zarurat Bhi Nahin Mangte Hum In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Raushni Hasb-e-zarurat Bhi Nahin Mangte Hum is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Raushni Hasb-e-zarurat Bhi Nahin Mangte Hum for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Raushni Hasb-e-zarurat Bhi Nahin Mangte Hum in PDF.