Qaza Ka Tir Tha Koi Kaman Se Nikal Gaya

qaza ka tir tha koi kaman se nikal gaya

wo ek harf jo meri zaban se nikal gaya

bahut ziyaada jhukna paD raha tha us ke sae mein

so ek din main us ke saeban se nikal gaya

abhi to tere aur tere adu ke darmiyan hun

agar kabhi main thak ke darmiyan se nikal gaya

mere adu ke KHwab chakna-chur ho ke rah gae

main jast bhar ke dasht-e-imtihan se nikal gaya

tere kalam-e-fan ka sirf main hi qadr-dan hun

agar main teri is bhari dukan se nikal gaya

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaza Ka Tir Tha Koi Kaman Se Nikal Gaya In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Qaza Ka Tir Tha Koi Kaman Se Nikal Gaya is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Qaza Ka Tir Tha Koi Kaman Se Nikal Gaya for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Qaza Ka Tir Tha Koi Kaman Se Nikal Gaya in PDF.