Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh

kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh

apne shahr ki miTTi bhi saman mein rakh

sare jism ko le kar ghum zamane mein

bas ek dil ki dhaDkan pakistan mein rakh

jaane kis raste se kirnen aa jaen

dil dahliz pe aankhen raushan-dan mein rakh

jhil mein ek mahtab zaruri hota hai

koi tamanna is chashm-e-hairan mein rakh

hum se shart lagane ki ek surat hai

apne sare KHwab yahan maidan mein rakh

jab bhi chahun tera chehra soch sakun

bas itni si baat mere imkan mein rakh

titli rasta bhul ke aa bhi sakti hai

kaghaz ke ye phul abhi gul-dan mein rakh

apne dil se ruswai ka KHauf nikal

'azhar' ab taswir meri dalan mein rakh

(1440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh In English By Famous Poet Azhar Adeeb. Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh is written by Azhar Adeeb. Read famous Poem Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh for youth and Student by Azhar Adeeb. Free Download Kal Pardes Mein Yaad Aaegi Dhyan Mein Rakh in PDF.