Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae
ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae
sawal ye hai ki kitne shajar ugae gae
mili hai aur hi tabir aa ke manzil par
wo aur KHwab the raste mein jo dikhae gae
mere lahu se mujhe munhadim karaya gaya
dayar-e-ghair se lashkar kahan bulae gae
diye bana ke jalai thin ungliyan hum ne
andheri shab ki adalat mein hum bhi lae gae
falak pe uDte huon ko qafas mein Dala gaya
zamin pe rengne walon ko par lagae gae
hamare nam ki taKHti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banae gae
mile the pahle se likkhe hue adalat ko
wo faisle jo hamein baad mein sunae gae
tamam sad sitare bigaD gae 'azhar'
sulagti ret pe jab zaiche banae gae
(837) Peoples Rate This