Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d3c72e75ae99e77630f3f99a8cef0b4e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The - Azhar Abbas Poetry In English - Darsaal

Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The

jab tere KHwab se bedar hua karte the

hum kisi ranj se do-chaar hua karte the

aaine chashm-e-tahayyur se hamein dekhte the

hum ki jab tere giraftar hua karte the

aaj malum hua teri zarurat hi na thi

hum yunhi tere talabgar hua karte the

ab to hum roz unhen panw tale raundte hain

ye hi raste the jo dushwar hua karte the

daulat-e-ishq se hum kaam chalate the miyan

bas yahi dirham-o-dinar hua karte the

barha yun bhi hua Dube hue KHwab mere

us ki aankhon se numudar hua karte the

aap hi aap kahani se nikalte jate

jo mere jaise adakar hua karte the

lo ki hum bojh uThate hain zamin se apna

hum kabhi is pe bahut bar hua karte the

aaj jo log KHaridar hain tere 'azhar'

kal yahi mere KHaridar hua karte the

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The In English By Famous Poet Azhar Abbas. Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Jab Tere KHwab Se Bedar Hua Karte The in PDF.