Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_350ba43eba2c5429b0e7fe935305265d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi - Azhar Abbas Poetry In English - Darsaal

Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi

hawa-e-tez ke aage kahan rahega koi

diye pe waqt sada mehrban rahega koi

ai dost hum bhi zamin par dhuen ki surat hain

faza mein kitna dhuan hai dhuan rahega koi

ajib naqsh banae hain wahshat-e-dil ne

magar ye ret hai is par nishan rahega koi

makan-e-dil ki sabhi raunaqen makinon se

makin hi na rahe to makan rahega koi

suragh laegi kitne nae jahanon ka

ye aagahi ka safar raegan rahega koi

jo dil ki jhil hi jazbon se ho gai KHali

to apni aankh mein aab-e-rawan rahega koi

hum apne sath hi le jaenge jahan apna

hamare baad to yunhi jahan rahega koi

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi In English By Famous Poet Azhar Abbas. Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Hawa-e-tez Ke Aage Kahan Rahega Koi in PDF.