Dekh Qindil RuKH-e-yar Ki Jaanib Mat Dekh
dekh qindil ruKH-e-yar ki jaanib mat dekh
tez talwar hai talwar ki jaanib mat dekh
bol kitni hai tere samne qimat meri
chhoD bazar ko bazar ki jaanib mat dekh
dekhna hai to mujhe dekh ki main kaisa hun
mere ujDe hue ghar-bar ki jaanib mat dekh
aur baDh jaegi tanhai tujhe kya malum
aisi tanhai mein diwar ki jaanib mat dekh
aage nikla hai to phir aage nikalta chala ja
pichhe haTte hue salar ki jaanib mat dekh
tu mere samne aaya hai to phir dekh mujhe
meri TuTi hui talwar ki jaanib mat dekh
tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh
KHun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh
tera dil hi na kahin kaT ke rakh de 'azhar'
aankh se girti hui dhaar ki jaanib mat dekh
(765) Peoples Rate This