Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e6a7b29cd4e41f7b55dc4067dd0b5811, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main - Azhar Abbas Poetry In English - Darsaal

Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main

apne virane ka nuqsan nahin chahta main

yani ab dusra insan nahin chahta main

kaT gai jaisi bhi kaTni thi yahan dhup ke sath

ab kisi sae ka ehsan nahin chahta main

mar raha hun main yahan aur wo kahta hai mujhe

na-mukammal tera iman nahin chahta main

pas aa kar na baDha aur pareshani-e-dil

phir kisi ishq ka saman nahin chahta main

tu mohabbat mein yunhi jaan ganwa baiThega

ja chala ja ki teri jaan nahin chahta main

chahta hun ki yahan phul khile hon har-su

yani ye jang ka maidan nahin chahta main

main jo chup hun to use aap ghanimat jaanen

dekhiye shahr mein tufan nahin chahta main

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main In English By Famous Poet Azhar Abbas. Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Apne Virane Ka Nuqsan Nahin Chahta Main in PDF.