Aise Pamal Ki Pahchan Mein Aate Hi Nahin

aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin

phul se chehre mere dhyan mein aate hi nahin

rok leti hai kahin rah mein nauhon ki sada

KHush-nawa git mere kan mein aate hi nahin

yun to kya kya na liya zad-e-safar chalte hue

chand sapne hain jo saman mein aate hi nahin

us taraf laDne pe aamada hai lashkar apna

aur salar ki maidan mein aate hi nahin

aise sapne hain jinhen hum ne nahin dekha abhi

aise raste hain jo imkan mein aate hi nahin

jurm aisa hai ki mujrim hain sabhi shahr ke log

aur asir itne ki zindan mein aate hi nahin

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Pamal Ki Pahchan Mein Aate Hi Nahin In English By Famous Poet Azhar Abbas. Aise Pamal Ki Pahchan Mein Aate Hi Nahin is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Aise Pamal Ki Pahchan Mein Aate Hi Nahin for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Aise Pamal Ki Pahchan Mein Aate Hi Nahin in PDF.