Subh Aati Hai To AKHbar Se Lag Jate Hain
subh aati hai to aKHbar se lag jate hain
sham jo Dhalti hai bazar se lag jate hain
ishq mein aur bhala is ke siwa kya hoga
dar se uThte hain to diwar se lag jate hain
jab ghaDi aati hai insaf ki dhire dhire
jurm aa kar sabhi haqdar se lag jate hain
hijr mein tere to ek chup si lagi rahti hai
wasl mein baaton ke ambar se lag jate hain
waqt aata hai jo suli se utarne ka meri
sach simaT kar meri guftar se lag jate hain
ab ke mausam bhi ajab hai teri baaton jaisa
sun ke baaten teri ashjar se lag jate hain
khol deti hai hawas pahle to chhoTi si dukan
dekhte dekhte bazar se lag jate hain
KHwab hai, jhuT hai, maya hai ya koi wardan
hum to sab bhul ke sansar se lag jate hain
(692) Peoples Rate This