Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai
ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai
mazi ka koi KHwab hai manus sada hai
sukha hua patta hun ki be-Dal paDa hun
kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai
ai KHar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu
farda ka har ek raaz tere lab se suna hai
puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo
kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai
dukhte hue dil se kai shahkar nikale
is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai
jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai
ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai
tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban
ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai
fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha
jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai
main phir bhi 'azim' us ki adaon pe miTa hun
jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai
(891) Peoples Rate This